Bitcoin kiya he uski puri janakari

 Bhaiya jitna Mujhe aata hai utna btaya hu aur Apne traf puri koshish Kar rha hu ki aapko santusht Kar saku. Ye copied Nhi hai , copied bolne se pehle 10000 bar soch Lena. 1.Bitcoin ek crypto currency hai.jo ki Satoshi nakamoto dwara launch ki gyi thi aur us time yani 2008 me iska price 0.78$ tha. 2.Bitcoin ek peer to peer currency hai ye ek email ki tarah Kam karta hai ,jaise aapko kisi Ko Bitcoin bhejna hai to uska wallet Address Lena pdega, wallet Address bilkul unique hota hai . Aapke Address ke sbhi transaction Ko koi bhi dekh Sakta hai bas use aapka wallet address gyat hona chahiye. 3. Bitcoin ka price uske users par depend karta hai jitne jyada users bdhega utna price bdhega. Jab users ka interest Kam hota hai to price that jyada hai.Aur sath demands par depend karta hai. 4.Almost Sabhi Countries me Bitcoin legal hai aur India me bhi Bitcoin legal hai . Lekin kuchh Desh jaise Argentina aur Russia jo foreign currencies Ko Kam value dete hai un desho me banned hai aur Kuchh desho me iske use par limitations hai. 5. Bitcoin 99% India me ban Nhi hoga but Kyuki unpredictable currency hai isiliye iske bare me kuchh kha Nhi ja Sakta. Phir bhi Bitcoin ban Nhi hoga Kyuki total 2 billion usd se jyada ka Investment Bitcoin me hai aur iske ban se Bahot Nukshan hoga. 6.indian government Bitcoin se Bahot prabhavit hai isi ki tarj par Indian government khud ki crypto currency launch karne ki yojana bna Rhi hai. 7.bitcoin Researchers ke anusar Bitcoin ke rate aage Bahot bdhenge yha tak ki Bitcoin ki value 2019 me $50,000 ho Sakti hai. But Kyuki ye unpredictable currency hai isiliye kuchh bhi exact Nhi kha ja Sakta . But agar purane aakno par nazar dale to iske rate aage bdh sakte hai. 8. Aapko Bitcoin me investment karna chahiye kyuki January tak ye 12 lakh+ hoga. Aap chahe to 15 December tak wait kar sakte hai kyuki is bich iski price thodi Kam ho Sakti hai. 9. Agar Aap Legally Bitcoin Buy Karna Chahte hai to iske liye zebpay best place hai kyuki zebpay India ka most trusted Bitcoin wallet hai . Aap Play Store se zebpay app download Karke usme register karle uske bad Apne pan card aur Anya necessary documents Ko add karke Verify kar le . Zebpay Download Link: Get bitcoins worth ₹100 free on your first bitcoin buy or sell with #referral #code 'REF64632195'. Download the app: http://link.zebpay.com/ref/REF64632195 , Aur agar aap anonymously Bitcoin buy karna chahte hai to local Bitcoin trusted place hai . (P.S: Mene local Bitcoins .com Ko kbhi use Nhi Kiya hai ) 10. Risk almost har Kam me hota hai , aur Bitcoin me bhi hai Isiliye Bitcoin me risk hai kyu hai yebhi btata hu. Bitcoin investment me aap puri tarah se secure Nhi hai kyuki ye ek volatile currency hai aur iski volatility ise unsecure Karti hai Lekin jaisa ki ye volatile hai isiliye isme Profit bhi hai. But agar purane aakno Ko dekhe to isme kuchh security bhi hai . 11.Bitcoin maximum koi bhi nhi hack kar Sakta Lekin jaisa ki Bitcoin ek software ki tarah hai to isme bhi khamiya thi jo samay ke sath patch ki gyi Kyuki Bitcoin ka net Bahot bda hai isiliye hmesha se Bitcoin Researchers iske Suraksha par Kam karte aaye hai isiliye hum keh Sakte hai ki Bitcoin koi hack Nhi Kar Sakta. 12.Bitcoin Kuchh Reasons ki wajah se popular hai- 1.Kyuki Bitcoin ek independent currency hai aur sbse secure crypto currency hai. 2.Bitcoin Ko Hum Turant ek Desh se dusre Desh me anonymously transfer kar sakte hai. 3.Iski transparency Kyuki Bitcoin ke sabhi transaction transparent hote hai. 4.Fast transaction. 5.No transaction fees. 6.Full control. 13.Bitcoin transaction Ko karne ke liye kuchh algorithm solve kiye jate hai inhi algorithm solve karne walo Ko miners kahte hai. Bitcoin mining me aapne computer ki power use ki jati hai . Particular hardware aur softwares use karke Aap bhi Bitcoin mining Kar Sakte hai. For more information visit Bitcoin mining .com 14.impossible bhi hai aur possible bhi. KYUKI Bitcoin ek unpredictable currency hai.
Newest
Oldest